Check these lines , very touching.
Hame jaldi hai,.... bohot jaldi hai,
Chai ne thodesi jheeb jaladi to kya hua? Nasta dupaher main kar lenge.
Har subaha alarm clock ko pare pauna kar kar..., Tiffin ke dibbo main dil bandhkar.. ghar se nikal bhagte hai, jaise kal hi exam khatam hue, aur nukkad pe sonu bhai sahab ne cricket khelne ke liye bulaya ho.
Hame jaldi hai.. kyo ke hamare pas sapne hai kilo ke hisab se, aur samay atthanni bhar nahi.
Ye sach aur sapno ke bich ka rasta hai na, ise maine thodee karib se dekha hai, thoda atpata, thoda anjana jarur lagta hai, par ye hath ki wo lakir hai jo uljhi galiyo se nikalkar ek haseen mukam pe hame pochha sakti hai.
Bas jarurat hai in sapno ko thodese raftar ki, fir dekhna ye sach aur sapno ke faslo ko hum kaise tay karte hai, jald se jald.
Sach kar denge sapne.

No comments:
Post a Comment